Tuesday, April 10, 2007

Dil ke zakhmon ko unse chupana pada

Dil ke zakhmon ko unse chupana pada,
Palke bheegi thi par muskurana pada,
kaise ulte hai yeh mohabbat k riwaj,
rutna to chate the..par unko manana pada....


Dil-e-aarzoo ne hame diwana bana diya,
Roye the na kabhi par tune rula diya,
tumhe hamari yaad na ayi hoge bhule se kabhi..
Humne teri yaad mein zamana bhula diya


tanhayi jab muqaddar me likhi thi,
to kya shikayat apne-begane se..
hum mit gaye JINKI chahat mein..
woh Baaz nahi aate hame aazmane se....



CHAND utra tha hamare aangan mein,
par taaron ko yeh gawara na tha..
hum to kar dete taaron se bagawat..
par kya kare WOH CHAND HI hamara na tha...


Apni mohabbat ki itnisi kahani hai,
tuti hui kashti aur thehra hua pani hai..
ek phool kitabon me dum chuka hai,
magar bhul nahi pate yeh kiski nishani hai..