Tuesday, October 30, 2007

Thaam K Haath Main Phool Tumko Aana Hoga

Ab Aansuoon Ko Aankhon Main Sajaana Hoga
Chiraagh Bhuj Gai Khud Ko Jalaana Hoga

Na Samjhna K Tumse Bicharh K Khush Hain
Humain Logon Ki Khaatir Muskuraana Hoga

Phir Shaam Dhal Gai Tum Aaiee Na Aaj Bhi
Dil Ko Aaj Phir Umeedoon Se Behlaana Hoga

Waada Khilaafi Kar K Muskurate Ho Aap
Dekhna Aik Din Sanam Aapko Pashtaana Hoga

Lahoo Se Apne Kafan Pe Tera Naam Likh Jaounga
Thaam K Haath Main Phool Tumko Aana Hoga

Abhi Se Na Kejiyai Takaaz-E-Masroofiat K Aap
Abhi Utthna Hai Janaza Kaandha To Daina Hoga

Muddaton Kiya Hai Tera Intizaar Aai Sanam
Umar Kat Chuki Ab To Jaana Hoga

ek naadaani karke hum bahut roye.

ek naadaani karke hum bahut roye,
haan,teri arzoo karke hum bahut roye,

kya kya sapne sajaye they pyar ke,
unhe choor hota dekh hum bahut roye,

jo maanga humne woh na mila kabhi,
apne muqaddar pe yaaron hum bahut roye,

yaad aate ho shab-o-roz hamain,
tumhe yaad karke hum bahut roye,

ujadgaya aashiyana yeh pyar ka,
apni bebasi par hardum hum bahut roye.