Dard se hath na milate to or kya karte,
Gam ke aansoo na bahate to or kya karte.
Usne maangi thi humse roshni ki dua,
Hum khud ko na jalate to or kya karte.
———— ——— ——— ——— ——–
Haqikat jaan lo juda hone se pahle,
Meri sun lo apni suna ne se pahle.
Ye soch lena bhulane se pahle,
Bahut royi hein ye aankhen muskurane se pahle.
———— ——— ——— ——— ——–
Chahat wo nahi jo jaan deti hai,
Chahat wo nahi jo muskaan deti hai.
Ae dost chahat wo hai,
Jo pani mein gira aansoo pehchan leti hein.
———— ——— ——— ——— ——–
Bahut chaha usko jise hum pa na sake,
Khayalo me kisi or ko le na sake.
Usko dekh ke aansoo to ponch liye,
Lekin kisi or ko dekh ke muskura na sake.
———— ——— ——— ——— ——— -
Monday, August 18, 2008
Fir bhi dil dhadkta hai aaj bhi usi ajnabi ke liye.
mana ki ham bhula nahi paate unhe ek pal ke liye,
par yu roya bhi nahi jaata ek pal ke liye.
mila jo yu wo milkar bichhad gaya zindgi ke liye,
unhe dil se nahi lagaya jaata dillagi ke liye
mana ki ye baat har kisi ko lagti hai sacchi
par har ajnabi nahi hote jamane mein bhulane ke liye
yu to khuda se jo maanga wo paya dua mein
par har dua kahan kabul hoti hai har kisi ke liye
wo aayega na lautkar fir kabhi ye jaante hain
fir bhi dil dhadkta hai aaj bhi usi ajnabi ke liye

Sunday, August 17, 2008
Wo sarphiri hawa thi sambhalna pada mujhe
Wo sarphiri hawa thi sambhalna pada mujhe,
Main aakhiri chirag tha jalna pada mujhe.
Mehsoos kar raha tha usey apne aas - paas,
Apna khyal khud hi badalna pada mujhe.
Mauzein guftgoo thi meri khamoshi kahee,
Jo zeher pee chuka tha uaglna pada mujhe.
Kuch door tak to jaise koi mere saath tha,
phir apne saath aap hi chalna pada mujhe.

Subscribe to:
Posts (Atom)