Monday, August 18, 2008

Dard se hath na milate to or kya karte

Dard se hath na milate to or kya karte,
Gam ke aansoo na bahate to or kya karte.
Usne maangi thi humse roshni ki dua,
Hum khud ko na jalate to or kya karte.
———— ——— ——— ——— ——–
Haqikat jaan lo juda hone se pahle,
Meri sun lo apni suna ne se pahle.
Ye soch lena bhulane se pahle,
Bahut royi hein ye aankhen muskurane se pahle.
———— ——— ——— ——— ——–
Chahat wo nahi jo jaan deti hai,
Chahat wo nahi jo muskaan deti hai.
Ae dost chahat wo hai,
Jo pani mein gira aansoo pehchan leti hein.
———— ——— ——— ——— ——–
Bahut chaha usko jise hum pa na sake,
Khayalo me kisi or ko le na sake.
Usko dekh ke aansoo to ponch liye,
Lekin kisi or ko dekh ke muskura na sake.
———— ——— ——— ——— ——— -

No comments: