Saturday, December 30, 2006

Baat reh gayi ......

Saath Humara pal bhar ka sahi,
par woh pal aise jaise koi kal nahi
rahe zindagi mein shayad phir milna humaara
par mehekti rahengi tumhari yaadein humare sang sahi
————————————–


Din jo guzar gaye hai yunhi
Raat bhi dhal gayi hai yunhi
Koshish tho bahut ki dil ne
Zuban pe baat rah gaye yun
————————————–


chal padi hai kashtiyaan samandar, door hai kinaraa
in maajoon se pooch lena, kya haal hai hamara
ab hawaein kareingi, roshiniyon ka faisla
jis diye main jaan hogi, woh diya reh jayega
————————————–


Guzare Huve Kal Ki Yaad aati hai,
kuch lamhon se aankhen bhar aati hain,
woh subah rangeen shaam nirali doob jati hain,
jab aap jaise doston ki yaad aati hai.
————————————–


e kaash kahin aisa hota ki do dil hote seene main
ek toot bhi jaata ishq mein to taklif na hoti jeene mein.
————————————–


Bechara Kuch Is Ada Sey Rukh Hi Badal Gaya
Ek Shaks Sarey Shehar Ko Veeran Kar Gaya
————————————–


ye zamiiN roii aasmaan ke saath
jab Ramaayan jalii Quraan ke saath
be_zubaaN shakhs likh to saktaa hai
haath bhi kaaT do zabaan ke saath
————————————–


Tumne apne zulfoN ko is tarah bikhera hai
ek taraf ujaala hai, ek taraf andhera hai
————————————–


Tum rooh mein shamil ho, Ragon mein rawa ho
Magar mere hathon ki lakeeron mein kahan ho ?
————————————–


Koi aankhon aankhon se baat kar leta hai
Koi aankhon aankhon mein mulakaat kar leta hai
Bada Mushkil hota hai tab Jawab denA
Jab koi KhamosH rehkar Sawaal kar leta hai
————————————-

No comments: