Tuesday, December 26, 2006

kis sey mehfil ke baat karte ho

kis sey mehfil ke baat karte ho
main to tanhaaiyoun mai rehta hoon
humsafar koun hai mere gham ka
main to parchaaiyoun main rehta hoon

mujhko maaloom hai ke gham kia hay
mujh ko maaloom zindagi kia hai
tum zamane ki baat kartey ho
main to gehraiyoun main rehta hoon

meri aawaaz loog suntey hain
dard ka saaz loog suntey hain
meri shohrat to aaik dhoka hai
main to ruswaiyoun main rehta hoon

khud ko barbaad kar liya main ne
gham se aazaad kar liya main ne
ab weerana mera thikana hai apni
main to barbaadiyoun main rehta hoon

mujhse poocho na aansuon ka sabbab
jo mere paas hai muqadar hai
kiya khushi hai ye keh nahi sakta
gham ki main aandhiyoun main rehta hoon !!

No comments: